Friday, December 31, 2010

Thursday, December 30, 2010

Monday, November 29, 2010

Ek tamanna hai tumse...

Ek tamanna hai tumse,
tumhi se hai aashe,
har sirhan me tum ho,
tumhi meri saanse...

mere sanso ki dore me,
tum hi ho samaye,
mere sune jeevan me,
ek tum hi to ho aaye...

tumhe maine chaha,
tumhe maine puja,
tum bin nahi koi,
naiya me duja...

tumhare kadam me,
jahan mai lutau,
jaha lutne ke pahle,
mai khud hi lut jaun...

ek tamanna hai tumse,
bano meri saanse,
har tamanna tumhi se,
tumhi se hai aashe...

To aaj fir se tumhari yaade aane lagi hai

To aaj fir se tumhari yaade aane lagi hai,
yaade aati thi pahle bhi ab satane lagi hai,

kaliya ban gayee hai phool, mushkurane lagi hai,
Aankho hi aankho me hume chidane lagi hai,

Aankh nam hai magar hoth sil se gaye hai,
zism baaki magar hum to dil se gaye hai,

to dil ki baate hai batani tumhe,
to aaj fir se tumhari yaade aane lagi hai
yaade aati thi pahle bhi ab satane lagi hai.

Teri yaad me...

Sab pana chahte hai,
mai khona chahta hun.
saji mehfil ho to teri yaad me
tanhayee ka ek kona chahta hun.
jane kaha ho tum
ek awaj mai de dun
dikh jao agar to
dil ek baar fir kho dun
aa jao laut kar tum,
tasavvur me khada hun
har pal tere intejar ka
jalta hua diya hun
jab aaye tum nahi the
mai pana chahta tha
sabko haste dekhkar
bas hasna chahta tha
par aankho se mere aanshu
ab bahna chahte hai
yaar me teri teri ta-umra
sona chahte hai.
khoya abhi bahot hai
aur khona chahte hai
is do ghadi ki duniya se
juda hona chahte hai

Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana

Jo tu muskuraye, goonj uthe ek tarana,
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana,

tu chale to kaliyan khilkhialye.
Jo tu rooth jaye har safar dagmagaye.
Yun gulistan sajana, Badlo ko hasana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Yun nadiya ka bahna, ek samunder ka sapna,.
Yun andhere ka milna, aur sooraj ka chalna,
Tere ek kadam ka jo hua ladkhadana
Ye royegi duniya kahin tu ruk na jana
Meri is kalam se na tu rooth jana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Subah daali me baithi jaisi koyal ka gaana
Jaisi chhoti si chidiya ka ghar ho sajana,
Jaise pani me ho chand ka khud Deepak jalana,
Ya chandni nisha me ek kamal muskurana
Jaisi kaali si chadar me tare timtimana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Jo tu muskuraye, goonj uthe ek tarana,
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana...

Monday, August 30, 2010

Tuesday, August 17, 2010

Mai panchi unmukt gagan ka

Mai panchi unmukt gagan ka,
kab se pankh samete baitha.
Pankh hila fir udna chahu,
Naye gagan ko chhoona chahu.

Apne sapno ko door chhod ke,
Na jaane mai kidher ja raha,
Apni hi khushiyon se ladkar
Jane kaise geet ga raha,
Naav meri hai tooti phooti,
Dar hai kis pal doob hi jaaye,
Khwab adhura sa apna ye
Khwahish hai ab toot hi jaaye.
Indradhanush ke rango jaise,
Saaj naye fir sunana chahun.
Neelgagan se tinge chun chun
Naye khwab fir bunana chahu.

Mai panchi unmukt gagan ka,
kab se pankh samete baitha.
Pankh hila fir udna chahu,
Naye gagan ko chhoona chahu

Wednesday, July 7, 2010

TUMHI....

tumhi meri yaadon ke meet ho,
tumhi meri kavita ke geet ho,
haar me bhi tum meri jeet ho,
tumhi meri khushiyon ka navneet ho...

tumhe mere jeevan ka avtar ho,
tumhi mere jeevan ka aadhar ho,
tumhi mere jeevan ka sanskar ho,
tumhi mere khwabon ka aakar ho...

tumhi meri pooja ho,
tumhi mera vishvash ho,
tumhi mera maan ho,
tumhi mera anuman ho,
tumhi meri aasha ho,
tumhi mera anurag ho...

tumhi meri akankshao ka gagan ho,
tumhi meri bhavnao ka suman ho..

tumhi mera anubhav ho,
tumhi mera abhijeet ho,
mai Ashish hun aur,
tumhi mera Sangeet ho...

Wednesday, June 16, 2010

"Mushafir tu kidher ja raha hai"

Mai Bhtakta
Diwana
Jawani me
Khoya
Apni kismat pe
Roya
Jaane kabse na
Soya

Kya socha tha
maine
Jab bola tha
Maine
Banunga Shipahi
Mai apne
Watan ka
Sajaunga ek din
Ye gulsan
Chaman sa

Ye dekho
Mai kaisa
Bhatak sa
Gaya hun
Na chaha
Jo maine
Aaj wo ban
gaya hun

Jeevan ka
Mere
Ye kaisa
Safar hai
Koi to
bata de
Kyon Rutha
Sahar hai

Ye tooti si
Kasti
Kidher ja
rahi hai
kinaro se roothi
nazar
aa rahi hai

Shaam sahami
Huyee si
Nazar
Aa rahi hai
Raat roti
Huyee si
Nazar
aa rahi hai

Ye jeevan
adhura
kidher ja
raha hai
kyon akela
musafir
chala ja
raha hai

"Yaaden…!!! Bahot yaad aati hai yaaden."

Yaaden…!!! Bahot yaad aati hai yaaden.
Rote huye dil ko hasa jaati hai yaaden.
Chupke se aankho me Bas jaati hai yaaden
Fir na chaah ke bhi chhalak aati hai yaaden.
Tanhayee me humdum najar aati hai yaade.
Saji mehfil me bhi yaad aati hai yaaden.
Hasati hai yaaden rulati hai yaaden
zindagi ko jeena sikhati hai yaaden,
dekar hume ye pal bhar ki khushiya,
jane kyon tanha chhod jaati hai ye yaaden
Yaaden…!!! Bahot yaad aati hai ye yaaden.

Tuesday, June 15, 2010

****"Kya Likhun"****

Mai Khushiyon ki Saugat likhun
Ya apno ke jajbaat likhun
Mai ye neela akash likhun
Ya dharti ki ab pyas likhun
Badal ke peechhe chand likhun
Ya kirano se ladti wo shaam likhun
Mai phoolo ka wo bag likhun
Ya bhavren ka har raag likhun
Chidiya ki mushkaan likhun
Ya gulsan sara sansar lihkhun
beetii har ek baat likhun
Ya ek nyee awaz likhun
Mai ek saamy ka gaan likhun
Ya har mausam saman likhun
Mai ek naya andaz likhun
Ya fir sapna Anjan likhun
Mai khud apni pehchan likhu
Ya roj naya ek saaj likhu
Mai subah dopahar sham likhun
Ya do pal ka aram likhu
Ab jaane ka paigam likhun ya
Fir milne ka wo khwab likhun
Mai bhoot bhavishya ya aaj likhun
Ya fir badhte rahne ka saath likhu
Mai ab saaree wo raat likhun
Ya ek naya Agaz likhu

"Toote dil ki dastaan..."

Humne jinhe chaha wo kisi aur ke ho gaye
Humari mehfil me aake gair ke sapno me kho gaye
Unhi ke liye sajayee thi jo mehfil,
usi mehfil me wo humse door ho gaye
khus hoke saja raha tha apni duniya
Par wo basne se pahle wo humse door ho gaye
Humne unhe apne baag ki khusbu samjha
Usi bag ke is phool se wo door ho gaye
Humne unhe chamkte surya ki roshni samjha
Par usi surya ki is Kiran se wo door ho gaye
Unhi ko chaha tha unhi chaha hai, unhi ko chahenge
Yahi socha tha , par mere khwab sab chaknachoor ho gaye
Log kahte hai pyar me nafarat nahi hoti
Yahi sochkar aaj hum itne majboor ho gaye

Tum humare bano ye ho na saka
Par dil se ye dua hai meri
Mere surya ki har Kiran de roshni tumko
Mere bag ka har phool de khusbu tumko
Tum dono ka pyar yun badhta hi jaye
Marne ke baad yahi bharosa de meri rooh tumko…

********YUVA*******

HUM HAI ZAMI, PAR KHWAB ASHMA HAI
HUM HAI ABHI PEECHE, PAR BAAT KARVA HAI

OYE MANJIL TUJHE PAANE KA EHSHAS HUM ME HAI
JO HAI NAHI KISI ME WO BAAT HUM ME HAI

HUM AGAR CHAHE TO TUFAN ROK SAKTE HAI
NADIYA KE DHARO KO KABHI BHI MOD SAKTE HAI

HO MANJIL DOOR KITNI BHI HUME WO PASS LAGTI HAI
KYON KI HUM WO TUFAN HAI JO HAR LAHAR KO PAAR KARTE HAI

NIKAL SAKTE HAI, HUM BHAVAR ME FASI KASTI
KYON HUM WO SOLEY HAI JO HAR SAFAR KO PAAR KARTE HAI….

HUM SADA CHALTE HI RAHTE HAI KABHI RUKNA NAHI SEEKHA
KHUD PAR GARV ITNA HAI KABHI JHUKNA NAHI SEEKHA

PHOOL PYARE HAI MAGAR KAATO SE NAHI DARTE
KYONKI HUM WO MAALI HAI JO KAATO SE LADTE HAI NAHI HATATE

KABHI TUFAN, KABHI SOLEY, KABHI KAATO SE TAKARATE
KABHI BAGIYA KE PHOOLO SE IS DUNIYA KO MEHKATE

DUSMAN SER HAI TO KYA, HUM BABBAR SER BAN JAATE
TADAPTE HUYE DIL KO SADA PHOOLO SE SEHLATE

HUME HAI JHOOT SE NAFRAT SADA SACH BOLNA SHEEKHA
AAJ KI JHOOTI DUNIYA ME SADA RAS GHOLNA SEEKHA

IS DESH KI NAIYA AGAR JO HAATH ME AAYE
IS NAAV KO HUM HAR KAHAR SE PAAR KAR JAYE

“GAIR MULKO KI THI WO SADI BEESAWI,
HUM YUVAO KI HAI YE IKKESAWI,
KAAM UNHONE KIYE THE TAB RAAT DIN
KAAM HUN BHI KARENGE AB RAAT DIN
HUMKO MALUM HAI THODI HAI KAMIYA MAGAR
KUCHH KARNE KE HAI AB IRADE ATAL”

"Kya socha, Kya paya Humne"

Jeevan me aaj jo hai kya socha tha humne
Sapno ke is bhavar ko, kya roka tha humne.
Science, Math ki jhol me agar Uljhe na hote
Dosti ke is safar me, fir hum kaha se hote,

agar numbers ka aapas me ladna na hota,
wo operators me uljha ek jhoola na hota,
To Kaise sulajhta wo triangle ka kona,
Fir hote kaha hum, fir kaha hota sona.

Agar Statistics me correlation ka funda na milta.
To Process Model me koi sigma na hilta.
Project aane ki sayad koi aasha na hoti
Agar is safar me Probability na hoti.

You duniya me niyamo(law) ka paltan na hota
Har subject me ghusta agar Newton na hota
Wo engineering me M2 ka locha na hota
To honge yahan hum ye socha na hota

"Samay Ka chamtkar"

Har taraf faili huyee Naukariyon ki bahar,
Har Engineer hai fir se safar me savar,
Beeta huwa wo din hai, jab dekhi thi haar,
Kismat ka dekho yahi hai chamatkar….

Kabhi gadi naav pe, kabhi naav gadi pe savar,
Kabhi lachar tha Engineer, aaj company bejar,
Jeevan me hai aati andhere ki chadar bar bar,
Failti tabhi hai, subah suraj ki fuhar….

Kaisa wo pal tha jab zindagi thi bakwas,
Project pane ko fir se aaj footi hai aash,
Kosis hai jari, ab jaldi bujhegi ye pyash,
Kismat ka dekho yahi hai chamatkar…. Yahi hai chamatkar…

"ZINDAGI BEETE SAMAY KI ASHRU DHARA"

Ek pulkit pran hai
Ya kisi agadit nadi ka ek kinara
Pusp ki tuti hui ek pankhuri sa
zindagi beete samay ki ashru dhara.


Ek ugta beej hai
Ya kisi chipakali ka ek niwala
Pank me upje kamal ki bebasi sa
Zindagi beete samay ki ashru dhara


Ek akela deep hai
Ya kisi ki atma ka ek thikana
Bhor me faila hua un motiyon sa
Zindagi beete samay ki ashru dhara


Ek subah ka geet hai
Ya kisi komal kali ka muskurana
Khwab me duba hua ek rosani sa
Zindagi beete samay ki ashru dhara

"ZINDAGI KI KASHMAKASH"

zindagi ek safar hai, har rah kashmakash hai,
Ye manjil nahi asan, ya fir dur hamsafar hai,
aa raha kehar hai, ya geet kastiyon ka,
ek khwab hai hamara, ya uljha hua bhavar hai.

Ek kashamakash hai duniya, ya khel raat din ka,
ek dhul zindgi ka, ya bhool hai kisi ka,
hai machaliyon si duniya, ya hun kuve ka medhak,
hai zindagi samunder, ya rah ek nadi ka.

janta nahi kyon, mai Khel mukadder ka,
KOi to bata de ye khel sikander ka,
kyon khojta hun har pal, wo rah manjilo ka,
mila agar nahi to, kya hoga zindagi ka.

Hai maut bhi ek manjil, ya thahraw zindagi ka,
Geet hai mera ye, ya fir peer khandhar ka,
samajh se pare kyon har khwab hai hamara,
hai sanjh ki ye chadar ya bhor ka ishara.

Ek raat zindagi hai, na kiran ka sahara,
uljhi hui najar hai, ya dhund ka favara,
bhavar hai koi, ya nazdeek hai kinara,
aa rahi khushi hai, ya maut ka ishara.

BACHPAN KI YAAD

Mere in gumsum kaano me
jaise sargam koi bajata hai,
gum ki faili khamoshi me
koi saaj chhed ke jata hai,
par in anjaani baaton se
ek jhoka taan sunata hai,
meri yaadon ki gahrai se
Mera bachpan yaad dilata hai.
Bachpan ke din the pyare se
kuchh meethe se anjaane se,
mere bachpan ki gahrai me
mai gunga sa ho jata hun,
jab-jab sone ko jata hun
ma ki lori mujhe satati hai.

Na jaane wo pal kab beet gaye
jo har pal phool khilate the,
jab pedon pe chad jaate the
aur patte khoob girate the.
Ek pake aam ki khwahish me
hum kitna dhoom machate the,
kabhi aam zameen pe paate the
kabhi daali ke sang aate the.

Bachpan ke din wo kaise the
jab Holi jam ke manate the,
hum kitna mela jaate the
aur kitne deep jalate the.
Jab garmi ki chhutti aati thi
hum naani ke ghar jaate the,
nana ji daat khilate the
hum anjaane ban jaate the.

Aur humari naani ma
hume kitna doodh pilati thi,
hum jab sone ko jaate the
hume kisse bahot sunaati thi.

Fir in haste se kaano me
ek toofan aake jata hai,
mai bhauchakka rah jata hun
mera khwab kahi kho jata hai.

Ab un bachpan ke yaadon ke
fir gulsan kaun sajayega,
apni ma ki lori jaisi
fir bansi kaun bajayega.

ab un bachpan ki yaadon jaisi
fir dulhan kise banayenge,
ab fir kaise kagaj lekar
hum kaise naav chalayenge.

ye khawab adhura sa apna
kaise poora ho payega,
hum aage badhte jayenge
har jhoka yaad dilayega.

Mere in gumsum kaano me
fir sargam koi bajayega,
gum ki faili khamoshi me
koi saaj chhed ke jayega,
inhi anjaani baaton me
ek jhoka taan sunayega,
mere yaadon ki gahrai se
fir bachpan yaad dilayega...


Monday, June 14, 2010

Zindagi kaisi Hoti hai...?

Hi friends,

Today is most awaited day for few of my good friends like RAJA, SANDY, KAUSHAL and all, because they are waiting for such a long time to see my own blog.

So friends here I go now...

usually i prefer to write poems I think my all friends know that I can only write poems and I too believe on the same...

Actually what I feel it is very easy way to express out thoughts, by writing either a Blog or a Poem, I know its not easy for all but as I took the title of my own Blog " LIFE IS A JOURNEY, NOT A DESTINATION" and in life's journey we need to learn, we need to use our experience and try to start something new, because ....

Antim kuchh nahi hota,

chalte chalte kisi mod pe,

kadmo ka ruk jana

Zindagi nahi hota...

So "MOD" is just like a signal(End of a old way a start of new) and from Signal we have to start walking in the new way...

So I would like to say every one need to start expressing his own thoughts as well as their Qualities…

Now come to the title “Zindagi kaisi Hoti hai...?” to dosto mere khayal se ye question sabhi ki life me kai baar aaya hoga , meri bhi life me bhi aaya, Aur jab bhi aaya maine Zindagi ke 2 Adhar stambh ko apne samne kahda paya.

Actually ye kavita maine bahot pahle likhi thi, but as you know this is my first on blog, to maine socha pahle Apne dono Adharo.. ka Naman kiya jaaye…

Aksar man me ek hi prashn(Question) aata hai

Zindagi kaisi hoti hai

Ye Zindagi kaisi hoti hai

Kuchh logo ne bataya Zindagi dukho se bhari hoti hai

Aur kuchh ne kahan ye sukho se bhari hoti hai

Par mera prashn wahi ka wahi

Akhir ye Zindagi kaisi hoti hai

Ye Zindagi kaisi hoti hai

Ek martaba mai yun hi nikal pada

Zindagi ki talash me

Chalte-chalte pahunch gaya

Ma ki Anchal ki chhaon me

Ma ne bataya

Zindagi ke sukh aur pyar bhara hota hai

Meri nazar se dekho to khusiyon ka

Sansar Bhara hota hai

Ye sun mere dil ne mujhse kaha

Ashish tere prashan ka ye Utter pura hai

Lekin fir dimag bola

Nahi pagle tera utter abhi adhura hai

Mai aur aage badha

Pure utter ki talash me

Chalte-chalte pahunch gaya

Pita roopi Ped ki chhaon me

Un hone bataya

Zindagi ek kadwa sach hai

Satya ke rahi ka bada hi kathin path hai

Aaj bhi dosto ye prashn “Zindagi kaisi hoti hai…?” mere samne aata hai lekin har baar mai apne dono Adharo ko yaad kar aage badh jata hun…

Now, I am coming to the end, but before that I would like to know from you, what do you think Abt life …Plz add your thoughts regarding that and tell me “Zindagi kaisi hoti hai…?”