Monday, November 29, 2010

Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana

Jo tu muskuraye, goonj uthe ek tarana,
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana,

tu chale to kaliyan khilkhialye.
Jo tu rooth jaye har safar dagmagaye.
Yun gulistan sajana, Badlo ko hasana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Yun nadiya ka bahna, ek samunder ka sapna,.
Yun andhere ka milna, aur sooraj ka chalna,
Tere ek kadam ka jo hua ladkhadana
Ye royegi duniya kahin tu ruk na jana
Meri is kalam se na tu rooth jana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Subah daali me baithi jaisi koyal ka gaana
Jaisi chhoti si chidiya ka ghar ho sajana,
Jaise pani me ho chand ka khud Deepak jalana,
Ya chandni nisha me ek kamal muskurana
Jaisi kaali si chadar me tare timtimana
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana….

Jo tu muskuraye, goonj uthe ek tarana,
Jis taraf sar utha de us taraf ashiyana...

No comments:

Post a Comment