Tuesday, June 15, 2010

BACHPAN KI YAAD

Mere in gumsum kaano me
jaise sargam koi bajata hai,
gum ki faili khamoshi me
koi saaj chhed ke jata hai,
par in anjaani baaton se
ek jhoka taan sunata hai,
meri yaadon ki gahrai se
Mera bachpan yaad dilata hai.
Bachpan ke din the pyare se
kuchh meethe se anjaane se,
mere bachpan ki gahrai me
mai gunga sa ho jata hun,
jab-jab sone ko jata hun
ma ki lori mujhe satati hai.

Na jaane wo pal kab beet gaye
jo har pal phool khilate the,
jab pedon pe chad jaate the
aur patte khoob girate the.
Ek pake aam ki khwahish me
hum kitna dhoom machate the,
kabhi aam zameen pe paate the
kabhi daali ke sang aate the.

Bachpan ke din wo kaise the
jab Holi jam ke manate the,
hum kitna mela jaate the
aur kitne deep jalate the.
Jab garmi ki chhutti aati thi
hum naani ke ghar jaate the,
nana ji daat khilate the
hum anjaane ban jaate the.

Aur humari naani ma
hume kitna doodh pilati thi,
hum jab sone ko jaate the
hume kisse bahot sunaati thi.

Fir in haste se kaano me
ek toofan aake jata hai,
mai bhauchakka rah jata hun
mera khwab kahi kho jata hai.

Ab un bachpan ke yaadon ke
fir gulsan kaun sajayega,
apni ma ki lori jaisi
fir bansi kaun bajayega.

ab un bachpan ki yaadon jaisi
fir dulhan kise banayenge,
ab fir kaise kagaj lekar
hum kaise naav chalayenge.

ye khawab adhura sa apna
kaise poora ho payega,
hum aage badhte jayenge
har jhoka yaad dilayega.

Mere in gumsum kaano me
fir sargam koi bajayega,
gum ki faili khamoshi me
koi saaj chhed ke jayega,
inhi anjaani baaton me
ek jhoka taan sunayega,
mere yaadon ki gahrai se
fir bachpan yaad dilayega...


1 comment:

  1. Behad Khoobsuraat Likha hai aaapne..!!! Bilkul mehsoos karte hai hum aaapke labzon ko, Har Ahsaas ko..

    Auro kaa taa nahi Pata, Par Bachpan aapne Zaroor Dekha hai..Bachpan aapne Zaroor Dekha hai.. ;)

    -Zindagi5

    ReplyDelete