Tuesday, June 15, 2010

"ZINDAGI KI KASHMAKASH"

zindagi ek safar hai, har rah kashmakash hai,
Ye manjil nahi asan, ya fir dur hamsafar hai,
aa raha kehar hai, ya geet kastiyon ka,
ek khwab hai hamara, ya uljha hua bhavar hai.

Ek kashamakash hai duniya, ya khel raat din ka,
ek dhul zindgi ka, ya bhool hai kisi ka,
hai machaliyon si duniya, ya hun kuve ka medhak,
hai zindagi samunder, ya rah ek nadi ka.

janta nahi kyon, mai Khel mukadder ka,
KOi to bata de ye khel sikander ka,
kyon khojta hun har pal, wo rah manjilo ka,
mila agar nahi to, kya hoga zindagi ka.

Hai maut bhi ek manjil, ya thahraw zindagi ka,
Geet hai mera ye, ya fir peer khandhar ka,
samajh se pare kyon har khwab hai hamara,
hai sanjh ki ye chadar ya bhor ka ishara.

Ek raat zindagi hai, na kiran ka sahara,
uljhi hui najar hai, ya dhund ka favara,
bhavar hai koi, ya nazdeek hai kinara,
aa rahi khushi hai, ya maut ka ishara.

No comments:

Post a Comment